यह ब्लॉग खोजें

Mahan Vyaktiyon ke Anmol Vachan in Hindi

Mahan Vyaktiyon ke Anmol Vachan in Hindi


1. Jaise andhe ke liye jagat andhakarmay hai aur aankhon wale ke liye prakashmay hai waise hi agyani ke liye jagat dukhmay hai aur gyani ke liye aananadmay. - Samproonanad
 
2. Narmata aur mithe vachan hi manushy ke abhushan hote hain. Shesh sab naammatr ke bhooshan hain.-Sant Tituvallur


3. Wahi unnti karta hai jo sway apne ko updesh deta hai. – Swami Raamtirth

4. Apne vishay men kuchh kahana pray: bahut kathin ho jata hai kyonki apne dosh dekhana apko apriy lagata hai aur unko andekha karma auro ko. -Mahadevi Varma


5. Karoona men shital agni hoti hai jo kroor se kroor vyakti ka hriday bhi aadr kar deti hai.- Sudarshan


6. Hatash n hona hi saphalata ka mool hai aur yahi param such hai. -Valmiki


7. Mitro ka uphas karana unke paawan ko khandit krana hai. -Raam pratap tripathi


Anmol vachan in English to Hindi

कोई टिप्पणी नहीं: